
Aaj muddaaton baad aisa hua
Kay main tanha hoon!
Aapki yaadon ne do boond chalkaye hain !
Aur muddaton ko mukhtasar banaya hain !
Aaj navz pe kaaboo kiya hain maine
Lekin dil pe akhtiyaar hota nahi.
Do kadam pe rehayee hain dikhti !
Aur har kadam par saasein hain rukti!
Aaj khidki bhi aadhi khuli hain
Ae Chand tujhe dekhun bhi toh kaise?
Nisaar toh hoon main teri khamoshi par bhi
Naapasand hain to sirf subah ki roshni.
Aaj kehta hoon dil se,samajhna!
Zubaan se kehne ki ijaazat na mili.
Doob jaoonga teri chaandni mein,
Mohabbat ki sazaa jo maut mili..!!!

