Saturday, February 6, 2010

kuch alfaaz

Aadamii aadamii se miltaa hai
Dil magar kam kisii se miltaa hai
Bhuul jaataa huun main sitam us ke
Vo kuchh is saadagii se miltaa hai
Aaj kyaa baat hai ke phuulon kaa
Rang terii ha.Nsii se miltaa hai
Mil ke bhii jo kabhii nahiin miltaa
Tuut kar dil usii se miltaa hai
Kaar-o-baar-e-jahaan sa varate hain
Hosh jab bekhudii se miltaa hai

No comments:

Post a Comment